Cricket Fever India

Cricket Fever India

Share

Contact information, map and directions, contact form, opening hours, services, ratings, photos, videos and announcements from Cricket Fever India, Health/Beauty, Gorkhpur, Lucknow.

🏏 Cricket Lover | Match Updates & Highlights
🇮🇳 Team India Supporter
🔥 Har Match Ka Full Josh
🏏 Cricket News | Match Analysis | Viral Moments
🎯
📲 Follow Karo Daily Cricket Content Ke Liye

26/03/2026

Rohit Sharma ka IPL me dhamaka 🔥 Hitman in full form 💥Rohit Sharma aka Hitman 💥
जब बैट चलता है तो गेंद सीधा स्टेडियम के बाहर जाती है 😳🔥
IPL में उनकी खतरनाक batting, classy shots और लंबे SIXES देखने का मज़ा ही अलग है 😍
अगर आप भी Rohit Sharma के फैन हो तो ❤️ जरूर दबाओ और शेयर करो 🔥

14/02/2026

Purv captain Rohit Sharma ne ek interview me Pakistan ko seedhi chunauti de di! Unhone kaha ki Suryakumar Yadav par unhe pura bharosa hai aur wo match me dhamaka karenge. Sath hi Ishan Kishan ka balla jamkar bolega aur Hardik Pandya apne all-round performance se match ka rukh badal denge.
India vs Pakistan ka maha mukabla hamesha hi high-voltage hota hai, aur is baar fans ko ek zabardast takkar dekhne ko mil sakti hai. Aap kis player se sabse zyada ummeed rakhte hain? Comment me zaroor batayein! 🇮🇳🔥

14/02/2026

14 February 2019 ka Pulwama hamla desh kabhi nahi bhool sakta. 🇮🇳
Is dardnaak din me hamare veer jawano ne apni jaan desh ke liye kurbaan ki.
Aaj Indian cricket team ke star player Suryakumar Yadav ne kaha ki yeh jeet desh ke shaheed jawano ko samarpit hogi. Team ka jazba sirf ek match jeetna nahi, balki desh ka maan badhana hai.
Har jeet un veer shaheedon ke naam 🙏
Jai Hind 🇮🇳

12/02/2026

USA par jeet ke baad Pakistan ke khiladi Salman Ali Agha ne diya bada bayan. Unhone kaha ki India ke khilaf match sirf jeetne ka nahi, balki final tak pahunchne ka mission hai. Ab sabki nazar India vs Pakistan ke is high-voltage muqable par hai. Kya hoga is baar? 🔥
Cricket fans ke liye yeh match hone wala hai super exciting! Aap kis team ko support kar rahe ho? Comment me batayein 👇

11/02/2026

Pakistan team ke match khelne se mana karne par Mohammad Siraj bhadak gaye the, lekin ab mamla poori tarah clear ho chuka hai। Siraj ne kaha ki 15 February ko ground par aisa performance dikhayenge jise Pakistan team kabhi bhool nahi payegi।
Ab sabki nazar is high-voltage match par hai, jahan Siraj apni bowling se jawaab dene ke liye taiyaar hain 🔥🏏

10/02/2026

लंबे समय के इंतज़ार के बाद पाकिस्तान टीम भारत के खिलाफ मैच खेलने के लिए तैयार हो गई है।
लेकिन इस हामी के साथ पाकिस्तान ने तीन बड़ी शर्तें रखी हैं।
पहली शर्त है भारत के साथ एक ODI मैच खेला जाए।
दूसरी शर्त है मैच से पहले और बाद में दोनों टीमों के बीच हैंडशेक हो।
तीसरी शर्त है पाकिस्तान क्रिकेट की इनकम में बढ़ोतरी की जाए।
अब सवाल ये है कि क्या BCCI और ICC इन शर्तों को मानेंगे?
आपकी राय क्या है? कमेंट में जरूर बताएं 👇🔥

08/02/2026

Team India ke explosive batsman Abhishek Sharma ne apni aggressive batting ko lekar bada bayan diya hai।
Unhone kaha ki agar Pakistan ke premium bowler Abrar Ahmed ke khilaf khelne ka mauka mila, to wo apni batting se match par poori tarah control karenge।
Fans ko umeed hai ki Abhishek Sharma, Yuvraj Singh paji ke 6 ball me 6 sixes ke legendary record ko challenge kar sakte hain।
Ab dekhna yeh hoga ki kya Abhishek Sharma history bana paate hain ya nahi 🔥🏏

08/02/2026

Jab team ke lagbhag sabhi b***ebaaz saste me pavilion laut gaye, tab Suryakumar Yadav ne zimmedari sambhali 💪
49 gendon me 84 runs ki zabardast innings khelkar USA ke khilaaf Bharat ko ek sammanjanak score tak pahunchaya 🇮🇳
Is dhamakedaar paari me SKY ke b***e se nikle
👉 10 chaukke
👉 4 chhakke
Ye innings sirf runs nahi, balki pressure me khela gaya ek champion knock thi 🔥
SKY proves again – class is permanent 👑

06/02/2026

Indian cricket fans ke liye badi update! Reports ke mutabik BCCI ne signal diya hai ki Ishan Kishan aur Abhishek Sharma future T20 matches me India ke liye opening kar sakte hain. Dono hi explosive batsman hain jo powerplay me match ka rukh badal sakte hain. Agar ye jodi start se attack karegi, to bowlers par pressure pakka hoga!
Aapko ye opening pair kaisa lagta hai? Comment karke bataye 👇

05/02/2026

Suryakumar Yadav, jise duniya Mr. 360° ke naam se jaanti hai, ground ke har kone me shots lagane ka talent rakhte hain. Unka fearless style, unorthodox batting aur pressure me performance unhe T20 cricket ka sabse exciting player banata hai.
Fans ka maanna hai ki agar SKY full-time captain bane, to T20 cricket me unki leadership bhi utni hi explosive hogi jitni unki batting 💪🔥
Ye video unke 360° shots, confidence aur match-changing style ko dikhata hai — pure entertainment guaranteed!
SKY = Style + Killer Shots + Youth Icon of T20 🚀

03/02/2026

Kya aapne kabhi socha tha ki Virat Kohli jaisa dikhne wala koi aur bhi ho sakta hai? 😮
Is video me ek aisa ladka dikh raha hai jo bilkul young Virat Kohli jaisa lagta hai — same face cut, same expression aur wahi cricket wala attitude! 🏏🔥
Fans ise “Mini Kohli” keh rahe hain. Kya yeh future ka next King ban sakta hai? Aapka kya kehna hai, comment me zarur batayein! 👇
Agar aap bhi Kohli fan ho to video ko like, share aur channel follow karna mat bhoolna ❤️🇮🇳

Want your business to be the top-listed Beauty Salon in Lucknow?
Click here to claim your Sponsored Listing.

Category

Website

Address

Gorkhpur
Lucknow